hawa ki aankh mein kajal nahin hai
havā kī aañkh meñ kājal nahīñ hai
diyā ab ke koī ghāyal nahīñ hai
usī ko māñgtā huuñ har duā meñ
vo laḌkī jo mire qābil nahīñ hai
ḳhud apne aap ko maarā hai maiñ ne
so merā koī bhī qātil nahīñ hai
abūzar kī phaTī chādar hai duniyā
ye terā surma.ī āñchal nahīñ hai
sakhī maiñ tere jaisā to nahīñ huuñ
so merā lams to sandal nahīñ hai
hawa ki aankh mein kajal nahin hai
diya ab ke koi ghayal nahin hai
usi ko mangta hun har dua mein
wo laDki jo mere qabil nahin hai
KHud apne aap ko mara hai main ne
so mera koi bhi qatil nahin hai
abuzar ki phaTi chadar hai duniya
ye tera surmai aanchal nahin hai
sakhi main tere jaisa to nahin hun
so mera lams to sandal nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.