hawa ki chadar-e-sad-chaak oDhe ja rahe hain
havā kī chādar-e-sad-chāk oḌhe jā rahe haiñ
savāro kis taraf muñh-zor ghoḌe jā rahe haiñ
hameñ bhī yaad kar lenā jab un par phuul aa.eñ
ham apnā ḳhuun paudoñ par nichoḌe jā rahe haiñ
samar to kyā shajar par koī patta bhī nahīñ hai
magar ham haiñ ki shāḳhoñ ko jhinjhoḌe jā rahe haiñ
ye kis sub.h-e-haqīqat meñ khulī hai aañkh merī
ki tere ḳhvāb bhī ab saath chhoḌe jā rahe haiñ
maiñ kis dukh se akele dekhtā jaatā huuñ un ko
fazā meñ panchhiyoñ ke chand joḌe jā rahe haiñ
vo jis kī amn kī buniyād par ta.amīr kī thī
'amīr' us shahr-e-jāñ meñ zulm toḌe jā rahe haiñ
hawa ki chadar-e-sad-chaak oDhe ja rahe hain
sawaro kis taraf munh-zor ghoDe ja rahe hain
hamein bhi yaad kar lena jab un par phul aaen
hum apna KHun paudon par nichoDe ja rahe hain
samar to kya shajar par koi patta bhi nahin hai
magar hum hain ki shaKHon ko jhinjhoDe ja rahe hain
ye kis subh-e-haqiqat mein khuli hai aankh meri
ki tere KHwab bhi ab sath chhoDe ja rahe hain
main kis dukh se akele dekhta jata hun un ko
faza mein panchhiyon ke chand joDe ja rahe hain
wo jis ki amn ki buniyaad par tamir ki thi
'amir' us shahr-e-jaan mein zulm toDe ja rahe hain
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 575)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.