hawa ki chitwan jaise nain
havā kī chitvan jaise nain
hoñToñ pe shabnam se bain
lāmbā jism samundar jaisā
sūraj jis ke bhītar chain
lohū kī ḳhushbū meñ jaage
ek parinde vaalī rain
jal ik bahtā jal ke andar
hoñToñ ke taa.ir bechain
havā parinde ke qad jitnī
shajar siyāh hariyāle ain
nain kaToroñ jaisī shabnam
dariyā ujiyāle base nain
samtoñ ke mahtāb badan meñ
lohū lohū kā zaujain
do ġhunche do jism hamāre
ek shajar kā mīThā bain
hawa ki chitwan jaise nain
honTon pe shabnam se bain
lamba jism samundar jaisa
suraj jis ke bhitar chain
lohu ki KHushbu mein jage
ek parinde wali rain
jal ek bahta jal ke andar
honTon ke tair bechain
hawa parinde ke qad jitni
shajar siyah hariyale ain
nain kaToron jaisi shabnam
dariya ujiyale base nain
samton ke mahtab badan mein
lohu lohu ka zaujain
do ghunche do jism hamare
ek shajar ka miTha bain
- Book : Mehraab (Pg. 128)
- Author : Ahmed Mushtaq
- Publication : Maktaba Mehrab Pak Tea House Share Qaid-e-azam (1977)
- Edition : 1977
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.