hawa ko aazmane ja rahe ho
havā ko āzmāne jā rahe ho
charāġh-e-dil jalāne jā rahe ho
usī dar par sañvartā hai muqaddar
jahāñ sar ko jhukāne jā rahe ho
jo sañg-e-mīl hai rāh-e-vafā kā
use rasta batāne jā rahe ho
miyāñ hālāt ab achchhe nahīñ haiñ
kabūtar kyuuñ uḌāne jā rahe ho
Dagar hai ishq kī āsāñ na samjho
tum apnā ghar jalāne jā rahe ho
baḌe dil-vāle ho 'jāved'-sāhab
gale un ko lagāne jā rahe ho
hawa ko aazmane ja rahe ho
charagh-e-dil jalane ja rahe ho
usi dar par sanwarta hai muqaddar
jahan sar ko jhukane ja rahe ho
jo sang-e-mil hai rah-e-wafa ka
use rasta batane ja rahe ho
miyan haalat ab achchhe nahin hain
kabutar kyun uDane ja rahe ho
Dagar hai ishq ki aasan na samjho
tum apna ghar jalane ja rahe ho
baDe dil-wale ho 'jawed'-sahab
gale un ko lagane ja rahe ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.