hawa ko chir ke us tak sada agar pahunche
havā ko chiir ke us tak sadā agar pahuñche
muhāl hai ki madad ko na chārāgar pahuñche
dayār-e-ishq ko rāh-e-sināñ pe chalte hue
jahāñ pe jism na pahuñche vahāñ pe sar pahuñche
Thikānā duur thā aur sāmnā havā kā bhī
pahuñch na paa.e parinde so un ke par pahuñche
za.iif peḌ nishānī thā jo mohabbat kī
vo kaT chukā thā musāfir jo lauT kar pahuñche
ye ek aah mohabbat kī tarjumān nahīñ
bahut tavīl the qisse jo muḳhtasar pahuñche
duā-ba-dast pas-e-dar thī intizār meñ maañ
ham ek shab zarā tāḳhīr se jo ghar pahuñche
pahuñch to jaatī hai har baat baat kā kyā hai
maza to jab hai ki is baat kā asar pahuñche
hawa ko chir ke us tak sada agar pahunche
muhaal hai ki madad ko na chaaragar pahunche
dayar-e-ishq ko rah-e-sinan pe chalte hue
jahan pe jism na pahunche wahan pe sar pahunche
Thikana dur tha aur samna hawa ka bhi
pahunch na pae parinde so un ke par pahunche
zaif peD nishani tha jo mohabbat ki
wo kaT chuka tha musafir jo lauT kar pahunche
ye ek aah mohabbat ki tarjuman nahin
bahut tawil the qisse jo muKHtasar pahunche
dua-ba-dast pas-e-dar thi intizar mein man
hum ek shab zara taKHir se jo ghar pahunche
pahunch to jati hai har baat baat ka kya hai
maza to jab hai ki is baat ka asar pahunche
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.