hawa kya hashr barpati nahin hai
havā kyā hashr barpātī nahīñ hai
mirī sāñsoñ ko mahkātī nahīñ hai
yahāñ jazboñ ke sote phūTte haiñ
nadī āñkhoñ kī barsātī nahīñ hai
koī bhī sub.h jo hamdard nikle
koī bhī shaam jo ghātī nahīñ hai
musalsal ghūmne mehvar pe apne
ye duniyā phir bhī chakrātī nahīñ hai
makīñ saare haiñ sab kā āshiyāna
kisī kā mulk ye zaatī nahīñ hai
kaTā ik peḌ āñgan kā hamāre
nahūsat ghar se ab jaatī nahīñ hai
baḌā ehsān gardish ne kiyā ye
hamāre saath uktātī nahīñ hai
hawa kya hashr barpati nahin hai
meri sanson ko mahkati nahin hai
yahan jazbon ke sote phuTte hain
nadi aankhon ki barsati nahin hai
koi bhi subh jo hamdard nikle
koi bhi sham jo ghati nahin hai
musalsal ghumne mehwar pe apne
ye duniya phir bhi chakraati nahin hai
makin sare hain sab ka aashiyana
kisi ka mulk ye zati nahin hai
kaTa ek peD aangan ka hamare
nahusat ghar se ab jati nahin hai
baDa ehsan gardish ne kiya ye
hamare sath uktati nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.