hawa mein aae to lau bhi na sath li humne
havā meñ aa.e to lau bhī na saath lī ham ne
phir ek umr añdheroñ meñ kaaT dī ham ne
diye meñ zor bahut thā magar na jaane kyuuñ
bas ek had se na baḌhne dī raushnī ham ne
uThā uThā ke tire naaz ai ġham-e-duniyā
ḳhud aap hī tirī aadat ḳharāb kī ham ne
vafā meñ jhuuT milāyā diloñ meñ khoT rakhā
kuchh is tarah se nibhā.ī hai dostī ham ne
duā karo vo kisī dil-jale kī aah na ho
ufuq ke paas jo dekhī hai aag sī ham ne
ajiib sehr thā dil ke qimār-ḳhāne meñ
tab uTh ke aa.e ki hastī bhī haar dī ham ne
qafas-misāl thī 'tāriq'-na.īm duniyā bhī
asiir ho ke gizārī hai zindagī ham ne
hawa mein aae to lau bhi na sath li hum ne
phir ek umr andheron mein kaT di hum ne
diye mein zor bahut tha magar na jaane kyun
bas ek had se na baDhne di raushni hum ne
uTha uTha ke tere naz ai gham-e-duniya
KHud aap hi teri aadat KHarab ki hum ne
wafa mein jhuT milaya dilon mein khoT rakha
kuchh is tarah se nibhai hai dosti hum ne
dua karo wo kisi dil-jale ki aah na ho
ufuq ke pas jo dekhi hai aag si hum ne
ajib sehr tha dil ke qimar-KHane mein
tab uTh ke aae ki hasti bhi haar di hum ne
qafas-misal thi 'tariq'-naim duniya bhi
asir ho ke gizari hai zindagi hum ne
- Book : ruki huii shamon kii raahdaariyaz (Pg. 141)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.