hawa mein kuchh to ghula tha ki honT nile hue
havā meñ kuchh to ghulā thā ki hoñT niile hue
gale lagāte hī taaza gulāb piile hue
na dasht-e-jān pe barsī rafāqatoñ kī phuvār
na aañkh meñ chamak aa.ī na lab hī giile hue
añdhere oḌhnā chāhe to badliyāñ chamkīñ
charāġh ujālnā chāhe to laakh hiile hue
tamām raat usī kohar ke jazīre par
ulajh ulajh ke shuāoñ ke haath niile hue
mohabbatoñ ko baḌhāo ki ranjisheñ bhī miTeñ
sukūñ na hogā agar muḳhtalif qabīle hue
kuchh itnī tez hai ye lafz kī sharāb use
kashīd karte hue haath bhī nashīle hue
tahoñ meñ baiThnā chāhā agar kabhī 'sajjād'
gale kā haar ka.ī be-talab vasīle hue
hawa mein kuchh to ghula tha ki honT nile hue
gale lagate hi taza gulab pile hue
na dasht-e-jaan pe barsi rafaqaton ki phuwar
na aankh mein chamak aai na lab hi gile hue
andhere oDhna chahe to badliyan chamkin
charagh ujalna chahe to lakh hile hue
tamam raat usi kohar ke jazire par
ulajh ulajh ke shuaon ke hath nile hue
mohabbaton ko baDhao ki ranjishen bhi miTen
sukun na hoga agar muKHtalif qabile hue
kuchh itni tez hai ye lafz ki sharab use
kashid karte hue hath bhi nashile hue
tahon mein baiThna chaha agar kabhi 'sajjad'
gale ka haar kai be-talab wasile hue
- Book : Dariche (Pg. 52)
- Author : Bashir Saifi
- Publication : Shakhsar Publishers (1975)
- Edition : 1975
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.