hawa mein tez-rawi hai na josh pani mein
havā meñ tez-ravī hai na josh paanī meñ
sukūt-e-marg hai sailāb kī ravānī meñ
na koī baat na jhagḌā na mudda.ā koī
jhulas rahā hai mirā shahr bad-gumānī meñ
bilā-sabab nahīñ sharh-e-hayāt kī surḳhī
jigar kā ḳhuun bhī shāmil hai tarjumānī meñ
huī tamām chalo zahmat-e-ḳharīdārī
balā kā lutf hai is daur kī girānī meñ
huā faqīr to sidra pe aa gayā āḳhir
bhaTak ga.e the qadam jis ke hukmrānī meñ
ba-vaqt-e-naza.a nazar aa rahā hai vo ma.abūd
jo ham ko yaad na aayā bharī javānī meñ
'majāz' jis kī satā.ish meñ sher kahtā huuñ
bas ek vo hī nahīñ hai mirī kahānī meñ
hawa mein tez-rawi hai na josh pani mein
sukut-e-marg hai sailab ki rawani mein
na koi baat na jhagDa na muddaa koi
jhulas raha hai mera shahr bad-gumani mein
bila-sabab nahin sharh-e-hayat ki surKHi
jigar ka KHun bhi shamil hai tarjumani mein
hui tamam chalo zahmat-e-KHaridari
bala ka lutf hai is daur ki girani mein
hua faqir to sidra pe aa gaya aaKHir
bhaTak gae the qadam jis ke hukmrani mein
ba-waqt-e-naza nazar aa raha hai wo mabud
jo hum ko yaad na aaya bhari jawani mein
'majaz' jis ki sataish mein sher kahta hun
bas ek wo hi nahin hai meri kahani mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.