hawa mein tir chalane se faeda kya hai
havā meñ tiir chalāne se fā.eda kyā hai
binā shikār nishāne se fā.eda kyā hai
kisī saḳhī kā yahāñ koī dar nahīñ khultā
yahāñ sadā.eñ lagāne se fā.eda kyā hai
tumhāre zaḳhm haiñ marham tumhīñ talāsh karo
kisī ko zaḳhm dikhāne se fā.eda kyā hai
ye sochtā huuñ zamāne se kyā milā mujh ko
ye sochtā huuñ zamāne se fā.eda kyā hai
jahāñ avaam kī zulmat-pasand fitrat ho
vahāñ charāġh jalāne se fā.eda kyā hai
hamāre sahn kī dīvār girne vaalī hai
mazīd aur uThāne se fā.eda kyā hai
ḳhud apnī zaat ko 'shahzar' jo baal baal rakhe
us ā.īne ko sajāne se fā.eda kyā hai
hawa mein tir chalane se faeda kya hai
bina shikar nishane se faeda kya hai
kisi saKHi ka yahan koi dar nahin khulta
yahan sadaen lagane se faeda kya hai
tumhaare zaKHm hain marham tumhin talash karo
kisi ko zaKHm dikhane se faeda kya hai
ye sochta hun zamane se kya mila mujh ko
ye sochta hun zamane se faeda kya hai
jahan awam ki zulmat-pasand fitrat ho
wahan charagh jalane se faeda kya hai
hamare sahn ki diwar girne wali hai
mazid aur uThane se faeda kya hai
KHud apni zat ko 'shahzar' jo baal baal rakhe
us aaine ko sajaane se faeda kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.