hawa ne baadal se kya kaha hai
havā ne bādal se kyā kahā hai
ki shahr jañgal banā huā hai
jahāñ mirī kashtiyāñ nahīñ thiiñ
vahāñ bhī sailāb aa gayā hai
umiid aur ḳhauf nāchte haiñ
vo nāch-ghar hai makān kyā hai
sab us kī bāteñ ghisī-piTī haiñ
magar vo paikar nayā nayā hai
vo jā chukā hai par us kā chehra
usī tarah mez par sajā hai
sajīlī almāriyoñ ke pīchhe
nokīle shīshoñ kā silsila hai
jo saa.e kī samt jā rahe haiñ
vo maiñ huuñ aur ek azhdahā hai
kalaf ke collar pahanñe vaalā
ik aadmī qatl ho rahā hai
mirā badan jis ko chāhtā thā
kisī ne vo zahr pī liyā hai
hawa ne baadal se kya kaha hai
ki shahr jangal bana hua hai
jahan meri kashtiyan nahin thin
wahan bhi sailab aa gaya hai
umid aur KHauf nachte hain
wo nach-ghar hai makan kya hai
sab us ki baaten ghisi-piTi hain
magar wo paikar naya naya hai
wo ja chuka hai par us ka chehra
usi tarah mez par saja hai
sajili almariyon ke pichhe
nokile shishon ka silsila hai
jo sae ki samt ja rahe hain
wo main hun aur ek azhdaha hai
kalaf ke collar pahanne wala
ek aadmi qatl ho raha hai
mera badan jis ko chahta tha
kisi ne wo zahr pi liya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.