hawa ne dosh pe jhaTka to aab par Thahra
havā ne dosh pe jhaTkā to aab par Thahrā
maiñ kuchh bhañvar meñ girā kuchh habāb par Thahrā
zamīñ se jazb ye pighlī sī nik.hateñ na huiiñ
‘urūs-e-shab kā pasīna gulāb par Thahrā
hamāre shabnamī naġhme usī se uljhe haiñ
kabhī na giit koī jis rabāb par Thahrā
ġham-o-nishāt kā kitnā hasīn sangam hai
ki taarā aañkh se TuuTā sharāb par Thahrā
rupahlī jhiil kī maujoñ meñ iztirāb sā hai
qadam ye kis kā sunahre sarāb par Thahrā
maiñ lafz-e-ḳhām huuñ koī ki tarjumān-e-ġhazal
ye faisla kisī taaza kitāb par Thahrā
hawa ne dosh pe jhaTka to aab par Thahra
main kuchh bhanwar mein gira kuchh habab par Thahra
zamin se jazb ye pighli si nikhaten na huin
‘urus-e-shab ka pasina gulab par Thahra
hamare shabnami naghme usi se uljhe hain
kabhi na git koi jis rabab par Thahra
gham-o-nishat ka kitna hasin sangam hai
ki tara aankh se TuTa sharab par Thahra
rupahli jhil ki maujon mein iztirab sa hai
qadam ye kis ka sunahre sarab par Thahra
main lafz-e-KHam hun koi ki tarjuman-e-ghazal
ye faisla kisi taza kitab par Thahra
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.