hawa phir ruKH badalti ja rahi hai
havā phir ruḳh badaltī jā rahī hai
charāġhoñ ko nigaltī jā rahī hai
isī ummīd par zinda the ab tak
ki ab hālat sañbhaltī jā rahī hai
sabā ne phir vahī ḳhushbū bikherī
tabī.at phir machaltī jā rahī hai
hameñ hī ab huā mahsūs varna
fazā kab se badaltī jā rahī hai
isī dhoke meñ saarī umr guzrī
sitam kī raat Dhaltī jā rahī hai
'sahar' ab to qadam aage baḌhāo
ki ye saa.at bhī Taltī jā rahī hai
hawa phir ruKH badalti ja rahi hai
charaghon ko nigalti ja rahi hai
isi ummid par zinda the ab tak
ki ab haalat sanbhalti ja rahi hai
saba ne phir wahi KHushbu bikheri
tabiat phir machalti ja rahi hai
hamein hi ab hua mahsus warna
faza kab se badalti ja rahi hai
isi dhoke mein sari umr guzri
sitam ki raat Dhalti ja rahi hai
'sahar' ab to qadam aage baDhao
ki ye saat bhi Talti ja rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.