hawa rah mein diye taqon mein maddham ho gae hain
hawa rah mein diye taqon mein maddham ho gae hain
Musavvir Sabzwari
MORE BYMusavvir Sabzwari
havā rah meñ diye tāqoñ meñ maddham ho ga.e haiñ
mahāz ab dūriyoñ ke kitne mohkam ho ga.e haiñ
hujūm-e-nā-shanāsāñ meñ hai itnā hī ġhanīmat
ye rishte ajnabiyyat ke jo qaa.em ho ga.e haiñ
chaTTānoñ se jahāñ thī guftugū-e-saḳht lāzim
vahīñ shīrīñ-suḳhan lahje mulā.em ho ga.e haiñ
mire bachche tirā bachpan to maiñ ne bech Daalā
buzurgī oḌh kar kāñdhe tire ḳham ho ga.e haiñ
azāboñ se Tapaktī ye chhateñ barsoñ chaleñgī
abhī se kyuuñ makīñ masrūf-e-mātam ho ga.e haiñ
hawa rah mein diye taqon mein maddham ho gae hain
mahaz ab duriyon ke kitne mohkam ho gae hain
hujum-e-na-shanasan mein hai itna hi ghanimat
ye rishte ajnabiyyat ke jo qaem ho gae hain
chaTTanon se jahan thi guftugu-e-saKHt lazim
wahin shirin-suKHan lahje mulaem ho gae hain
mere bachche tera bachpan to main ne bech Dala
buzurgi oDh kar kandhe tere KHam ho gae hain
azabon se Tapakti ye chhaten barson chalengi
abhi se kyun makin masruf-e-matam ho gae hain
- Book : Aiwan (Pg. 98)
- Author : Manazir Ashiq Harganvi & Shahid Nayeem
- Publication : Nirali Duniya (1998)
- Edition : 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.