hawa se dast-o-gareban hua to bhed khula
havā se dast-o-garebāñ huā to bhed khulā
maiñ ḳhud diye kī jagah par jalā to bhed khulā
ham apne naqsh bhī kho baiThe us hasīñ ke liye
hamāre haath lagā ā.īna to bhed khulā
mujhe ḳhabar hī na thī ġham bhī haiñ zamāne meñ
jab āsmāñ mire sar par girā to bhed khulā
maiñ chīḳhtā hī rahā be-asar sadā.eñ diiñ
kisī taraf na milā jab ḳhudā to bhed khulā
kisī ne haath baḌhāyā na koī paas aayā
rah-e-vafā pe maiñ thak kar girā to bhed khulā
ye hādse mujhe patthar samajh rahe the 'adīl'
phir ek roz maiñ jab ro paḌā to bhed khulā
hawa se dast-o-gareban hua to bhed khula
main KHud diye ki jagah par jala to bhed khula
hum apne naqsh bhi kho baiThe us hasin ke liye
hamare hath laga aaina to bhed khula
mujhe KHabar hi na thi gham bhi hain zamane mein
jab aasman mere sar par gira to bhed khula
main chiKHta hi raha be-asar sadaen din
kisi taraf na mila jab KHuda to bhed khula
kisi ne hath baDhaya na koi pas aaya
rah-e-wafa pe main thak kar gira to bhed khula
ye hadse mujhe patthar samajh rahe the 'adil'
phir ek roz main jab ro paDa to bhed khula
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.