hawa se dur agar raha karti
havā se duur agar rahā kartī
gard itnī nahīñ uḌā kartī
us kā koī ḳhudā nahīñ hotā
anā sajda nahīñ kiyā kartī
ik tamāsha dikhānā paḌtā hai
taalī yūñhī nahīñ bajā kartī
thamā detī hai haath meñ pyāla
pyaas paanī nahīñ piyā kartī
karne aate haiñ saare kaam mujhe
mujhe fursat nahīñ milā kartī
havā ko hote haiñ zarūrī kaam
rāste meñ nahīñ rukā kartī
din jo niklā to bujh ga.e taare
raushnī raushnī kā kyā kartī
ghar ko jannat banānā paḌtā hai
ghar meñ jannat nahīñ milā kartī
din hī kuchh der se nikaltā hai
raat lambī nahīñ huā kartī
hawa se dur agar raha karti
gard itni nahin uDa karti
us ka koi KHuda nahin hota
ana sajda nahin kiya karti
ek tamasha dikhana paDta hai
tali yunhi nahin baja karti
thama deti hai hath mein pyala
pyas pani nahin piya karti
karne aate hain sare kaam mujhe
mujhe fursat nahin mila karti
hawa ko hote hain zaruri kaam
raste mein nahin ruka karti
din jo nikla to bujh gae tare
raushni raushni ka kya karti
ghar ko jannat banana paDta hai
ghar mein jannat nahin mila karti
din hi kuchh der se nikalta hai
raat lambi nahin hua karti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.