hawaen be-‘inan hain aaj ghar se dur mat jao kaha tha na
hawaen be-‘inan hain aaj ghar se dur mat jao kaha tha na
Rafia Shabnam Abidi
MORE BYRafia Shabnam Abidi
havā.eñ be-‘ināñ haiñ aaj ghar se duur mat jaao kahā thā nā
agar jaao chale jaanā magar jaldī hī lauT aao kahā thā nā
kahā thā nā ye duniyā kab kisī kā saath detī hai farebī hai
kisī par mat yaqīñ karnā zarā socho qasam khaao kahā thā nā
kahā to thā ki bāhar ke nazāre ḳhūbsūrat haiñ magar sach hai
ye sab parchhā.iyāñ haiñ in se dil apnā na bahlāo kahā thā nā
kahā ye bhī thā dushman tez hai ‘ayyār hai tarrār-o-shātir hai
tum apne haath se apne liye mat jaal phailāo kahā thā nā
mirī bāteñ hamesha hī tumheñ yūñhī sī lagtī haiñ to mat sunñā
magar kuchh ho hī jaa.e to na pachhtāo na ghabrāo kahā thā nā
kahā sab kuchh to thā us din kahāñ lekin tumheñ sunñā gavārā thā
balāoñ se jo bachnā ho mire dāman meñ aa jaao kahā thā nā
ḳhabar hai nā pata hai nā ye dāman dhuup se tum ko bachā legā
ki ab to merī bātoñ par yaqīñ kar lo idhar aao na pachhtāo kahā thā nā
hawaen be-‘inan hain aaj ghar se dur mat jao kaha tha na
agar jao chale jaana magar jaldi hi lauT aao kaha tha na
kaha tha na ye duniya kab kisi ka sath deti hai farebi hai
kisi par mat yaqin karna zara socho qasam khao kaha tha na
kaha to tha ki bahar ke nazare KHubsurat hain magar sach hai
ye sab parchhaiyan hain in se dil apna na bahlao kaha tha na
kaha ye bhi tha dushman tez hai ‘ayyar hai tarrar-o-shatir hai
tum apne hath se apne liye mat jal phailao kaha tha na
meri baaten hamesha hi tumhein yunhi si lagti hain to mat sunna
magar kuchh ho hi jae to na pachhtao na ghabrao kaha tha na
kaha sab kuchh to tha us din kahan lekin tumhein sunna gawara tha
balaon se jo bachna ho mere daman mein aa jao kaha tha na
KHabar hai na pata hai na ye daman dhup se tum ko bacha lega
ki ab to meri baaton par yaqin kar lo idhar aao na pachhtao kaha tha na
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.