hawaen tez thin mahaul gard gard na tha
havā.eñ tez thiiñ māhaul gard gard na thā
ruḳh-e-hayāt kabhī itnā zard zard na thā
thā intishār azal hī se aadmī kā nasīb
magar samāj kabhī itnā fard fard na thā
jo tere hijr meñ uThtā thā dil meñ rah rah kar
vo kaif vasl se baḌh kar thā dard dard na thā
makālmoñ meñ tire ziist kī harārat thī
tirā sulūk kabhī itnā sard sard na thā
bahār aane se pahle kabhī mile hote
maiñ itnā bikhrā huā itnā gard gard na thā
hawaen tez thin mahaul gard gard na tha
ruKH-e-hayat kabhi itna zard zard na tha
tha intishaar azal hi se aadmi ka nasib
magar samaj kabhi itna fard fard na tha
jo tere hijr mein uThta tha dil mein rah rah kar
wo kaif wasl se baDh kar tha dard dard na tha
makalmon mein tere zist ki hararat thi
tera suluk kabhi itna sard sard na tha
bahaar aane se pahle kabhi mile hote
main itna bikhra hua itna gard gard na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.