hawaon ka zor aazmate rahe
havāoñ kā zor āzmāte rahe
sadā ham patañgeñ uḌāte rahe
jinheñ jān-o-dil meñ basāte rahe
vo rasman ta.alluq nibhāte rahe
mire ba.ad bachchoñ ne itnā kiyā
mujhe chaukhaTe meñ biThāte rahe
vo dushman ke ḳheme meñ the mutma.in
abas ham lahū meñ nahāte rahe
bache the vo patthar kī thiiñ mūrateñ
fuzūl aap ḳhanjar chalāte rahe
kahānī thī saada magar kuchh to thā
zamāna ba-zid thā sunāte rahe
janam se hī daanī haiñ manzar 'shahāb'
guhar āñsuoñ ke luTāte rahe
hawaon ka zor aazmate rahe
sada hum patangen uDate rahe
jinhen jaan-o-dil mein basate rahe
wo rasman talluq nibhate rahe
mere baad bachchon ne itna kiya
mujhe chaukhaTe mein biThate rahe
wo dushman ke KHeme mein the mutmain
abas hum lahu mein nahate rahe
bache the wo patthar ki thin muraten
fuzul aap KHanjar chalate rahe
kahani thi sada magar kuchh to tha
zamana ba-zid tha sunate rahe
janam se hi dani hain manzar 'shahab'
guhar aansuon ke luTate rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.