hawaon ke muqabil hun
havāoñ ke muqābil huuñ
charāġhoñ kī vo mahfil huuñ
ḳhudā jaane kahāñ huuñ maiñ
na bāhar huuñ na shāmil huuñ
mire kāñdhe pe vo bikhre
haiñ mauj ik vo maiñ sāhil huuñ
ye chādar silvaTeñ takiya
batāte haiñ maiñ ġhāfil huuñ
maiñ jo chāhūñ vo pā luuñ par
abhī ḳhud hī se ġhāfil huuñ
yahāñ sach be-sahārā hai
sahārā duuñ maiñ bātil huuñ
umīdeñ tum se rakhtī huuñ
kaho to kitnī jāhil huuñ
juā hai zindagī jaise
jo jiite us ko hāsil huuñ
rahe zad meñ junūñ jis ke
usī ko phir maiñ hāsil huuñ
hawaon ke muqabil hun
charaghon ki wo mahfil hun
KHuda jaane kahan hun main
na bahar hun na shamil hun
mere kandhe pe wo bikhre
hain mauj ek wo main sahil hun
ye chadar silwaTen takiya
batate hain main ghafil hun
main jo chahun wo pa lun par
abhi KHud hi se ghafil hun
yahan sach be-sahaara hai
sahaara dun main baatil hun
umiden tum se rakhti hun
kaho to kitni jahil hun
jua hai zindagi jaise
jo jite us ko hasil hun
rahe zad mein junun jis ke
usi ko phir main hasil hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.