hawaon se har sham puchha karenge
havāoñ se har shaam pūchhā kareñge
vo kab zaḳhm-e-dil kā mudāvā kareñge
milegā nayā ek ġham un ke dar se
ḳhushī kī agar ham tamannā kareñge
mujhe ḳhauf hai un kī mahfil meñ ik din
junūñ ke ye andāz rusvā kareñge
tirī yaad ke jhilmilāte diye hī
mire ġham-kade meñ ujālā kareñge
'razā' bā.is-e-dard-e-dil vo bane haiñ
samajhte the jin ko mudāvā kareñge
hawaon se har sham puchha karenge
wo kab zaKHm-e-dil ka mudawa karenge
milega naya ek gham un ke dar se
KHushi ki agar hum tamanna karenge
mujhe KHauf hai un ki mahfil mein ek din
junun ke ye andaz ruswa karenge
teri yaad ke jhilmilate diye hi
mere gham-kade mein ujala karenge
'raza' bais-e-dard-e-dil wo bane hain
samajhte the jin ko mudawa karenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.