hawaon se uljhe shajar raat-bhar
havāoñ se uljhe shajar rāt-bhar
laraztā rahā merā ghar rāt-bhar
zarūr us meñ maazī ke aaseb haiñ
sisaktā bahut hai khañDar rāt-bhar
maiñ girtā huuñ bistar pe jab TuuT kar
udāsī dabātī hai sar rāt-bhar
balā ab mire shahr meñ aa.egī
ki rotā hai ik jānvar rāt-bhar
use bhī mirā ḳhauf Dastā rahā
mujhe bhī rahā us kā Dar rāt-bhar
hawaon se uljhe shajar raat-bhar
larazta raha mera ghar raat-bhar
zarur us mein mazi ke aaseb hain
sisakta bahut hai khanDar raat-bhar
main girta hun bistar pe jab TuT kar
udasi dabaati hai sar raat-bhar
bala ab mere shahr mein aaegi
ki rota hai ek jaanwar raat-bhar
use bhi mera KHauf Dasta raha
mujhe bhi raha us ka Dar raat-bhar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.