hawas-o-hafize ka man rah gaya hai bas
havās-o-hāfize kā maan rah gayā hai bas
kahāñ kī yaad tirā dhyān rah gayā hai bas
tamām lashkar-e-aql-o-nigāh khet rahā
bisāt-e-ishq pe sultān rah gayā hai bas
vo aur haiñ ki jo ġham ko ġhalat bhī karte haiñ
ye dil to hijr se hairān rah gayā hai bas
ḳhadañg-e-ḳhvāb tujhe dil meñ le ke baiTh rahūñ
mire liye yahī āsān rah gayā hai bas
virāsatoñ ke sab ehsās gum hue 'arshad'
mirī najāt ko īmān rah gayā hai bas
hawas-o-hafize ka man rah gaya hai bas
kahan ki yaad tera dhyan rah gaya hai bas
tamam lashkar-e-aql-o-nigah khet raha
bisat-e-ishq pe sultan rah gaya hai bas
wo aur hain ki jo gham ko ghalat bhi karte hain
ye dil to hijr se hairan rah gaya hai bas
KHadang-e-KHwab tujhe dil mein le ke baiTh rahun
mere liye yahi aasan rah gaya hai bas
wirasaton ke sab ehsas gum hue 'arshad'
meri najat ko iman rah gaya hai bas
- Book : Sadaa-e-aabju (Pg. 62)
- Author : Arshad Abdul Hameed
- Publication : Arshad Abdul Hameed (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.