havās-o-hosh se begāna honā bhī zarūrī hai
kabhī insān kā dīvāna honā bhī zarūrī hai
ye āñkheñ kis liye phir aur dī haiñ dene vaale ne
charāġh-e-husn kā parvāna honā bhī zarūrī hai
kuchh is 'unvān se phaile ki maqbūl-e-do-ālam ho
haqīqat ke liye afsāna honā bhī zarūrī hai
nahīñ be-kaif-e-sahbā Thiik duniyā se guzar jaanā
halāk-e-gardish-e-paimāna honā bhī zarūrī hai
baġhair us ke junūñ kī 'azmatoñ par tabsira kaisā
'munavvar' ke liye farzāna honā bhī zarūrī hai
hawas-o-hosh se begana hona bhi zaruri hai
kabhi insan ka diwana hona bhi zaruri hai
ye aankhen kis liye phir aur di hain dene wale ne
charagh-e-husn ka parwana hona bhi zaruri hai
kuchh is 'unwan se phaile ki maqbul-e-do-alam ho
haqiqat ke liye afsana hona bhi zaruri hai
nahin be-kaif-e-sahba Thik duniya se guzar jaana
halak-e-gardish-e-paimana hona bhi zaruri hai
baghair us ke junun ki 'azmaton par tabsira kaisa
'munawwar' ke liye farzana hona bhi zaruri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.