hawas-e-waqt ka andaza lagaya jae
havas-e-vaqt kā andāza lagāyā jaa.e
raat pāgal huī darvāza lagāyā jaa.e
āshnā shahr kī āñkhoñ meñ nayā shaḳhs lagūñ
aisā chehre pe koī ġhāza lagāyā jaa.e
biite mausam meñ jo phal aa.e kasīle nikle
ab koī peḌ yahāñ taaza lagāyā jaa.e
bhāgte dauḌte shahroñ ko pinhā kar zanjīr
ḳhalvat-e-jāñ kā bhī andāza lagāyā jaa.e
maiñ bikhar jā.ūñ na kāġhaz kī tarah kamre meñ
tez tūfān hai darvāza lagāyā jaa.e
hawas-e-waqt ka andaza lagaya jae
raat pagal hui darwaza lagaya jae
aashna shahr ki aankhon mein naya shaKHs lagun
aisa chehre pe koi ghaza lagaya jae
bite mausam mein jo phal aae kasile nikle
ab koi peD yahan taza lagaya jae
bhagte dauDte shahron ko pinha kar zanjir
KHalwat-e-jaan ka bhi andaza lagaya jae
main bikhar jaun na kaghaz ki tarah kamre mein
tez tufan hai darwaza lagaya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.