hawas ke bij badan jab se dil mein bone laga
havas ke biij badan jab se dil meñ bone lagā
maiñ ḳhud se milne ke saare javāz khone lagā
rafīq-e-sub.h thā sūraj se rishta-dārī thī
sipāh-e-shab meñ ye kis kā shumār hone lagā
ajiib manzar-e-āḳhir thā bujhtī āñkhoñ meñ
vo mujh ko maar ke be-iḳhtiyār rone lagā
is ehtiyāt kī sarhad sazā se miltī hai
lahū kā naam liyā āstīn dhone lagā
phir is ke ba.ad ye saarī zamīn merī thī
jagā ke jab se mujhe ye zamīr sone lagā
hawas ke bij badan jab se dil mein bone laga
main KHud se milne ke sare jawaz khone laga
rafiq-e-subh tha suraj se rishta-dari thi
sipah-e-shab mein ye kis ka shumar hone laga
ajib manzar-e-aKHir tha bujhti aankhon mein
wo mujh ko mar ke be-iKHtiyar rone laga
is ehtiyat ki sarhad saza se milti hai
lahu ka nam liya aastin dhone laga
phir is ke baad ye sari zamin meri thi
jaga ke jab se mujhe ye zamir sone laga
- Book : Aks e Gumgushta (Pg. 16)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.