hawas ki aag mein jalte hain bezari mein jite hain
havas kī aag meñ jalte haiñ bezārī meñ jiite haiñ
yahāñ kuchh log ab ḳhvāhish kī bīmārī meñ jiite haiñ
ġharīboñ ko kabhī luT jaane kā ḳhatra nahīñ hotā
jam.a karte haiñ jo daulat vo dushvārī meñ jiite haiñ
jahāñ par har hukūmat jā ke sajda-rez hotī hai
pata hai tujh ko ham kis kī amal-dārī meñ jiite haiñ
bane naukar hukūmat ke ga.ī hāthoñ se āzādī
ki ab din-rāt ham file kī almārī meñ jiite haiñ
kisī ke sāmne haath apne phailā.eñ ye nā-mumkin
ġharībī meñ bhī ham itnī vaz.a-dārī meñ jiite haiñ
sadā ham haq ko haq bātil ko bātil likhne vaale haiñ
nahīñ in kī nahīñ un kī taraf-dārī meñ jiite haiñ
unheñ mat DhūñDiye jā kar kisī bazm-e-charāġhāñ meñ
‘amānullāh-ḳhāñ’ to apnī fankārī meñ jiite haiñ
hawas ki aag mein jalte hain bezari mein jite hain
yahan kuchh log ab KHwahish ki bimari mein jite hain
gharibon ko kabhi luT jaane ka KHatra nahin hota
jama karte hain jo daulat wo dushwari mein jite hain
jahan par har hukumat ja ke sajda-rez hoti hai
pata hai tujh ko hum kis ki amal-dari mein jite hain
bane naukar hukumat ke gai hathon se aazadi
ki ab din-raat hum file ki almari mein jite hain
kisi ke samne hath apne phailaen ye na-mumkin
gharibi mein bhi hum itni waza-dari mein jite hain
sada hum haq ko haq baatil ko baatil likhne wale hain
nahin in ki nahin un ki taraf-dari mein jite hain
unhen mat DhunDiye ja kar kisi bazm-e-charaghan mein
‘amanullah-KHan’ to apni fankari mein jite hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.