Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hawas ki duniya mein rahne walon ko main mohabbat sikha raha hun

Bismil Saeedi

hawas ki duniya mein rahne walon ko main mohabbat sikha raha hun

Bismil Saeedi

MORE BYBismil Saeedi

    havas duniyā meñ rahne vāloñ ko maiñ mohabbat sikhā rahā huuñ

    jahāñ pe dāman bichhe hue haiñ vahāñ par āñkheñ bichhā rahā huuñ

    surūd-e-ġham par bhī zindagī meñ tarab ke dhāre bahā rahā huuñ

    maiñ un ke sāz-e-jafā par apnī vafā ke naġhme sunā rahā huuñ

    ilāhī duniyā meñ aur kuchh din abhī qayāmat na aane paa.e

    tire banā.e hue bashar ko abhī maiñ insāñ banā rahā huuñ

    adam ke tārīk rāste meñ koī musāfir na raah bhūle

    maiñ sham-e-hastī bujhā kar apnī charāġh-e-turbat jalā rahā huuñ

    maiñ apnī tarz-e-jūn.un ke sadqe mirā junūñ bhī ajab junūñ hai

    kisī dāman pakaḌ rahā huuñ kisī se dāman chhuḌā rahā huuñ

    abhī to aayā thā vahāñ se kabhī na jaane ahd kar ke

    magar mohabbat zahe mohabbat abhī vahīñ se phir aa rahā huuñ

    milī hai kāñToñ mujh ko qismat magar hai phūloñ merī fitrat

    jahāñ huuñ pāmāl-e-ġham huuñ lekin jahāñ bhī huuñ muskurā rahā huuñ

    chalā hai shauq-e-sujūd le kar ilāhī ye kis ke dar jānib

    abhī to pahlā qadam uThā hai abhī se maiñ sar jhukā rahā huuñ

    tirī nazar kyā maiñ apne dil se bhī gir ke jaatā huuñ anjuman se

    jahāñ ki hotī hai ḳhatm duurī vahāñ se bhī duur rahā huuñ

    ye kis ke kūche meñ gāmzan huuñ ye āstāñ kis sāmne hai

    maiñ apne qadmoñ par aaj 'bismil' sar-e-do-ālam jhukā rahā huuñ

    hawas ki duniya mein rahne walon ko main mohabbat sikha raha hun

    jahan pe daman bichhe hue hain wahan par aankhen bichha raha hun

    surud-e-gham par bhi zindagi mein tarab ke dhaare baha raha hun

    main un ke saz-e-jafa par apni wafa ke naghme suna raha hun

    ilahi duniya mein aur kuchh din abhi qayamat na aane pae

    tere banae hue bashar ko abhi main insan bana raha hun

    adam ke tarik raste mein koi musafir na rah bhule

    main sham-e-hasti bujha kar apni charagh-e-turbat jala raha hun

    main apni tarz-e-junun ke sadqe mera junun bhi ajab junun hai

    kisi ka daman pakaD raha hun kisi se daman chhuDa raha hun

    abhi to aaya hi tha wahan se kabhi na jaane ka ahd kar ke

    magar mohabbat zahe mohabbat abhi wahin se phir aa raha hun

    mili hai kanTon ki mujh ko qismat magar hai phulon ki meri fitrat

    jahan hun pamal-e-gham hun lekin jahan bhi hun muskura raha hun

    chala hai shauq-e-sujud le kar ilahi ye kis ke dar ki jaanib

    abhi to pahla qadam uTha hai abhi se main sar jhuka raha hun

    teri nazar kya main apne dil se bhi gir ke jata hun anjuman se

    jahan ki hoti hai KHatm duri wahan se bhi dur ja raha hun

    ye kis ke kuche mein gamzan hun ye aastan kis ka samne hai

    main apne qadmon par aaj 'bismil' sar-e-do-alam jhuka raha hun

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-bismil Saeedi (Pg. 45)
    • Author : Bismil Saeedi
    • Publication : Sahitya Akademi (2007)
    • Edition : 2007
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now