hawas kije na umr-e-jawedan ki
havas kiije na umr-e-jāvedāñ kī
hai umr-e-ḳhizr bhī aisī kahāñ kī
kise ḳhvāhish hai umr-e-jāvedāñ kī
kahāñ tak Thokareñ khā.eñ yahāñ kī
uḌā kar ḳhaak vahshī ne tumhāre
binā-e-tāza Daalī āsmāñ kī
bahut daur-e-falak ne rañg badle
na ḳhū badlī magar us bad-gumāñ kī
ḳharīdāro chalo saudā ḳharīdo
sar-e-bāzār 'āshiq' ne dukāñ kī
hawas kije na umr-e-jawedan ki
hai umr-e-KHizr bhi aisi kahan ki
kise KHwahish hai umr-e-jawedan ki
kahan tak Thokaren khaen yahan ki
uDa kar KHak wahshi ne tumhaare
bina-e-taza Dali aasman ki
bahut daur-e-falak ne rang badle
na KHu badli magar us bad-guman ki
KHaridaro chalo sauda KHarido
sar-e-bazar 'ashiq' ne dukan ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.