Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hawas kisi ko ho dekhne ki jo mauj-e-be-intiha-e-dariya

Nusrat Lakhnavi

hawas kisi ko ho dekhne ki jo mauj-e-be-intiha-e-dariya

Nusrat Lakhnavi

MORE BYNusrat Lakhnavi

    havas kisī ko ho dekhne jo mauj-e-be-intihā-e-dariyā

    to aa ke chashmoñ ko dekhe merī ki yaañ se hai ibtidā-e-dariyā

    habāb un ko na samjho yaaro ye uThte paanī meñ haiñ jo har-dam

    badan khulā jo kisī dekhā khule haiñ ye īda-e-dariyā

    darūn-e-girdāb ab jo kar phañsī hai kashtī hamārī yārab

    sarishk-e-yās ab bhī hai jo āñkhoñ se kyā kaheñ mājrā-e-dariyā

    sarishk-e-chashm aur āh-e-sozāñ ne mere ai vaa.e ek pal meñ

    bahut se jañgal kiye haiñ sarsabz aur kitne sukhā.e dariyā

    uThā.egā jab talak na 'nusrat' varta-e-ishq mashaqqat

    to haath āvegā kyūñki tere vo gauhar-e-be-bahā-e-dariyā

    hawas kisi ko ho dekhne ki jo mauj-e-be-intiha-e-dariya

    to aa ke chashmon ko dekhe meri ki yan se hai ibtida-e-dariya

    habab un ko na samjho yaro ye uThte pani mein hain jo har-dam

    badan khula jo kisi ka dekha khule hain ye ida-e-dariya

    darun-e-girdab ab jo ja kar phansi hai kashti hamari yarab

    sarishk-e-yas ab bhi hai jo aankhon se kya kahen majra-e-dariya

    sarishk-e-chashm aur aah-e-sozan ne mere ai wae ek pal mein

    bahut se jangal kiye hain sarsabz aur kitne sukhae dariya

    uThaega jab talak na 'nusrat' tu warta-e-ishq ki mashaqqat

    to hath aawega kyunki tere wo gauhar-e-be-baha-e-dariya

    Source :
    • Book : Ghazal Usne Chhedi(2) (Pg. 149)
    • Author : Farhat Ehsas
    • Publication : Rekhta Books (2017)
    • Edition : 2017
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now