hawas miTti nahin KHauf-e-KHuda pamal rakhta hai
havas miTtī nahīñ ḳhauf-e-ḳhudā pāmāl rakhtā hai
ajab sarkash hai dil merā ki hasb-e-hāl rakhtā hai
vahī āñkheñ haiñ jo ganj-e-girāñ-māya luTātī thiiñ
vahī dil ab hai apne aap ko kangāl rakhtā hai
rifāqat koī majbūrī na apnī thī na us kī thī
magar vo mere roz-o-shab ke sab ahvāl rakhtā hai
barahna shaam dhuñdle aa.ine meñ jaise ghul jaa.e
kuchh aisā hī mirā mahbūb ḳhatt-o-ḳhāl rakhtā hai
bisāt-e-jāñ kī baazī hārtā huuñ maiñ vo shātir hai
ġhazab kī chaal chaltā hai ġhazab kī chaal rakhtā hai
ḳhudā tū hāzir-o-nāzir ḳhatā.eñ baḳhshne vaalā
yaqīñ hotā nahīñ tū nāma-e-a.amāl rakhtā hai
hawas miTti nahin KHauf-e-KHuda pamal rakhta hai
ajab sarkash hai dil mera ki hasb-e-haal rakhta hai
wahi aankhen hain jo ganj-e-giran-maya luTati thin
wahi dil ab hai apne aap ko kangal rakhta hai
rifaqat koi majburi na apni thi na us ki thi
magar wo mere roz-o-shab ke sab ahwal rakhta hai
barahna sham dhundle aaine mein jaise ghul jae
kuchh aisa hi mera mahbub KHatt-o-KHal rakhta hai
bisat-e-jaan ki bazi haarta hun main wo shatir hai
ghazab ki chaal chalta hai ghazab ki chaal rakhta hai
KHuda tu hazir-o-nazir KHataen baKHshne wala
yaqin hota nahin tu nama-e-amal rakhta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.