haya-maab mohabbat nishan hain aankhen
hayā-ma.āb mohabbat nishān haiñ āñkheñ
baḌī ḳhalīq baḌī mehrbān haiñ āñkheñ
machal rahe haiñ ishāre taḌap rahe haiñ payām
jo dekhiye to baḌī be-zabān haiñ āñkheñ
kabhī tamām tavajjoh kabhī tamām jafā
dil-e-hazīñ ke liye imtihān haiñ āñkheñ
numūd-e-ijz pe aa.eñ to farsh-e-rah ban jaa.eñ
ġhurūr-e-husn meñ to āsmān haiñ āñkheñ
haya-maab mohabbat nishan hain aankhen
baDi KHaliq baDi mehrban hain aankhen
machal rahe hain ishaare taDap rahe hain payam
jo dekhiye to baDi be-zaban hain aankhen
kabhi tamam tawajjoh kabhi tamam jafa
dil-e-hazin ke liye imtihan hain aankhen
numud-e-ijz pe aaen to farsh-e-rah ban jaen
ghurur-e-husn mein to aasman hain aankhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.