haya to us se sharmati bahut hai
hayā to us se sharmātī bahut hai
paḌosan merī itrātī bahut hai
vo ghar meñ chain se rahtī hai kam-kam
magar chhat par nazar aatī bahut hai
nahīñ suntī kisī kī apne aage
samajhtī kam hai samjhātī bahut hai
kare hai guftugū sargoshiyoñ meñ
magar zevar to khankātī bahut hai
baḌī sanjīda bantī hai vo lekin
miyāñ se chhup ke mastānī bahut hai
mire allāh us kī god bhar de
vo tanhā loriyāñ gaatī bahut hai
haya to us se sharmati bahut hai
paDosan meri itraati bahut hai
wo ghar mein chain se rahti hai kam-kam
magar chhat par nazar aati bahut hai
nahin sunti kisi ki apne aage
samajhti kam hai samjhati bahut hai
kare hai guftugu sargoshiyon mein
magar zewar to khankati bahut hai
baDi sanjida banti hai wo lekin
miyan se chhup ke mastani bahut hai
mere allah us ki god bhar de
wo tanha loriyan gati bahut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.