hayat-baKHsh dil-e-mehrban nahin milta
hayāt-baḳhsh dil-e-mehrbāñ nahīñ miltā
mujhe zamīñ pe koī āsmāñ nahīñ miltā
hazār hashr uThāte haiñ ḳhaak ke putle
phir ek roz kisī kā nishāñ nahīñ miltā
nayā hai shahr kahāñ jā ke sar chhupā.ūñgā
vo ajnabī huuñ jise ham-zabāñ nahīñ miltā
ye vo hai gul jo khaTaktā hai ḳhaar kī sūrat
vafā-parast ko dushman kahāñ nahīñ miltā
mazā to jab thā taḌaptī hī charḳh par rahtī
kisī kā ghar tujhe barq-e-tapāñ nahīñ miltā
bas ek dā.era hai jis meñ ghūmtā huuñ maiñ
mire safīne ko āb-e-ravāñ nahīñ miltā
havā kī tezī se hotā hai larza-bar-andām
vo nāḳhudā jise 'azm-e-javāñ nahīñ miltā
kamī bahār kī hai aur na ġhuncha-o-gul kī
sukūn phir bhī sar-e-gulsitāñ nahīñ miltā
maiñ ḳhār-o-ḳhas ko haTātā huuñ rāstoñ se 'falak'
luTā huā jo koī kārvāñ nahīñ miltā
hayat-baKHsh dil-e-mehrban nahin milta
mujhe zamin pe koi aasman nahin milta
hazar hashr uThate hain KHak ke putle
phir ek roz kisi ka nishan nahin milta
naya hai shahr kahan ja ke sar chhupaunga
wo ajnabi hun jise ham-zaban nahin milta
ye wo hai gul jo khaTakta hai KHar ki surat
wafa-parast ko dushman kahan nahin milta
maza to jab tha taDapti hi charKH par rahti
kisi ka ghar tujhe barq-e-tapan nahin milta
bas ek daera hai jis mein ghumta hun main
mere safine ko aab-e-rawan nahin milta
hawa ki tezi se hota hai larza-bar-andam
wo naKHuda jise 'azm-e-jawan nahin milta
kami bahaar ki hai aur na ghuncha-o-gul ki
sukun phir bhi sar-e-gulsitan nahin milta
main KHar-o-KHas ko haTata hun raston se 'falak'
luTa hua jo koi karwan nahin milta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.