hayat ban ke faza mein machalta jata hun
hayāt ban ke fazā meñ machaltā jaatā huuñ
dayār-e-zīst kā mausam badaltā jaatā huuñ
mire lahū se hazāroñ charāġh raushan haiñ
charāġh-e-ishq huuñ sadiyoñ se jaltā jaatā huuñ
sajā liyā hai ġham-e-kā.enāt se dil ko
nafas-nafas ġham-e-insāñ meñ Dhaltā jaatā huuñ
kahīñ haiñ ḳhaar kahīñ pattharoñ kī bārish hai
maiñ zindagī ke magar saath chaltā jaatā huuñ
hai laġhzishoñ se mirī zindagī kī ra.anā.ī
bahaktā jaatā huuñ jitnā sañbhaltā jaatā huuñ
bujhā sakī na kabhī āñdhiy.oñ kī yūrish bhī
tirā charāġh-e-tamannā huuñ jaltā jaatā huuñ
'payām' maiñ huuñ na.e inqalāb kā naġhma
lahū kī tarah ragoñ meñ machaltā jaatā huuñ
hayat ban ke faza mein machalta jata hun
dayar-e-zist ka mausam badalta jata hun
mere lahu se hazaron charagh raushan hain
charagh-e-ishq hun sadiyon se jalta jata hun
saja liya hai gham-e-kaenat se dil ko
nafas-nafas gham-e-insan mein Dhalta jata hun
kahin hain KHar kahin pattharon ki barish hai
main zindagi ke magar sath chalta jata hun
hai laghzishon se meri zindagi ki ranai
bahakta jata hun jitna sanbhalta jata hun
bujha saki na kabhi aandhiyon ki yurish bhi
tera charagh-e-tamanna hun jalta jata hun
'payam' main hun nae inqalab ka naghma
lahu ki tarah ragon mein machalta jata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.