Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hayat DhunD raha hun qaza ki rahon mein

Badnam Nazar

hayat DhunD raha hun qaza ki rahon mein

Badnam Nazar

MORE BYBadnam Nazar

    hayāt DhūñD rahā huuñ qazā rāhoñ meñ

    panāh māñgne aaya huuñ be-panāhoñ meñ

    badan mummy thā nazar barf saañs kafūrī

    tamām raat guzārī hai sard bāhoñ meñ

    ab un meñ sho'le jahannum ke raqs karte haiñ

    base the kitne firdaus jin nigāhoñ meñ

    maiñ nuur huuñ na ghabrā.eñ mujh se nūr-talab

    ye aur baat hai barsoñ rahā siyāhoñ meñ

    bujhī jo raat to apnī galī yaad aa.ī

    ulajh gayā thā maiñ rangīn shāh-rāhoñ meñ

    na jaane kyā huā apnā bhī ab nahīñ hai vo

    jo ek 'umr thā duniyā ke ḳhair-ḳhvāhoñ meñ

    mirī talāsh ko jis 'ilm se qarār aa.e

    na ḳhānqāhoñ meñ paa.ī na dars-gāhoñ meñ

    hayat DhunD raha hun qaza ki rahon mein

    panah mangne aaya hun be-panahon mein

    badan mummy tha nazar barf sans kafuri

    tamam raat guzari hai sard bahon mein

    ab un mein sho'le jahannum ke raqs karte hain

    base the kitne hi firdaus jin nigahon mein

    main nur hi hun na ghabraen mujh se nur-talab

    ye aur baat hai barson raha siyahon mein

    bujhi jo raat to apni gali ki yaad aai

    ulajh gaya tha main rangin shah-rahon mein

    na jaane kya hua apna bhi ab nahin hai wo

    jo ek 'umr tha duniya ke KHair-KHwahon mein

    meri talash ko jis 'ilm se qarar aae

    na KHanqahon mein pai na dars-gahon mein

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now