hayat-e-hijr mein dil ki thakan samajhta hun
hayāt-e-hijr meñ dil kī thakan samajhtā huuñ
ḳharāb huuñ ki junūñ kā chalan samajhtā huuñ
samajhtā huuñ ki masīhā nahīñ rahā phir bhī
marīz-e-ishq huuñ apnī lagan samajhtā huuñ
suno ai chāk-garebāñ kiye hue logo
darīda-dil huuñ maiñ TuuTe button samajhtā huuñ
suḳhan karūñ to bahut soch kar nahīñ kartā
maiñ ḳhud ko jaise rivāyat shikan samajhtā huuñ
maiñ barg-e-gul ko bhī chhūtā huuñ narm hāthoñ se
khile gulāb sā us kā badan samajhtā huuñ
sune haiñ sher mire mah-vashoñ ke hoñToñ se
maiñ dostoñ ke diloñ kī jalan samajhtā huuñ
ajiib vahshat-e-girya hai dam-ba-dam 'rāmiz'
ḳhayāl-e-yār ko dam kī ghuTan samajhtā huuñ
hayat-e-hijr mein dil ki thakan samajhta hun
KHarab hun ki junun ka chalan samajhta hun
samajhta hun ki masiha nahin raha phir bhi
mariz-e-ishq hun apni lagan samajhta hun
suno ai chaak-gareban kiye hue logo
darida-dil hun main TuTe button samajhta hun
suKHan karun to bahut soch kar nahin karta
main KHud ko jaise riwayat shikan samajhta hun
main barg-e-gul ko bhi chhuta hun narm hathon se
khile gulab sa us ka badan samajhta hun
sune hain sher mere mah-washon ke honTon se
main doston ke dilon ki jalan samajhta hun
ajib wahshat-e-girya hai dam-ba-dam 'ramiz'
KHayal-e-yar ko dam ki ghuTan samajhta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.