hayat-e-ishq ko itna to nur-fam karen
hayāt-e-ishq ko itnā to nūr-fām kareñ
mah-o-nujūm adab se jise salām kareñ
nazar milā ke jo karte haiñ baat sūraj se
vo Dūbte hue tāroñ se kyā kalām kareñ
abhī to vaqt hai taz.īn-e-mai-kadā ke liye
bajā.e raḳhna-garī mil ke koī kaam kareñ
uTho uTho ki mashāġhil haiñ aur bhī yaaro
fasāna-e-ġham-e-māzī yahīñ tamām kareñ
bulandiyoñ se pukārā gayā hai yuuñ 'ġhausī'
ki ahl-e-ishq bhī hāsil koī maqām kareñ
hayat-e-ishq ko itna to nur-fam karen
mah-o-nujum adab se jise salam karen
nazar mila ke jo karte hain baat suraj se
wo Dubte hue taron se kya kalam karen
abhi to waqt hai tazin-e-mai-kada ke liye
bajae raKHna-gari mil ke koi kaam karen
uTho uTho ki mashaghil hain aur bhi yaro
fasana-e-gham-e-mazi yahin tamam karen
bulandiyon se pukara gaya hai yun 'ghausi'
ki ahl-e-ishq bhi hasil koi maqam karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.