hayat-e-ulfat ki chandni mein masarraton ki kami nahin hai
hayāt-e-ulfat kī chāñdnī meñ masarratoñ kī kamī nahīñ hai
magar muqaddar ko kyā karūñ maiñ nazar vo pahlī jo thī nahīñ hai
vo ibtidā ishq kī thī ham ko gila thā jab dard-e-be-kasī kā
magar shabāb-e-junūñ to dekho shikāyat-e-be-ruḳhī nahīñ hai
tirī mohabbat hai zahr shīrīñ tirī vafā.eñ hasīn dhoke
hai laakh dushman agarche duniyā magar ye tujh se burī nahīñ hai
hazāroñ tūfāñ se ishq khele hazār dil meñ hujūm-e-ġham ho
magar fareb-e-vafā jo khaa.e vo zindagī zindagī nahīñ hai
kamāl-e-ishq-o-vafā ke partav jahāñ-tahāñ jagmagā rahe haiñ
ye sab fareb-e-nigāh-o-dil hai kisī meñ kuchh dilkashī nahīñ hai
vo aur hoñge aish-e-duniyā kī ārzūoñ meñ mar rahe haiñ
vo chiiz maiñ kyoñ pasand kar luuñ jo hāsil-e-bandagī nahīñ hai
tirī vafāoñ ke āsare par had-e-tasavvur se baḌh gayā huuñ
maqām aisā ab aa gayā hai tirī kamī bhī kamī nahīñ
javān hai ab mirī mohabbat shabāb par haiñ mirī duā.eñ
hai mauqa.a-e-ḳhud-kushī to ai 'raaj himmat-e-ḳhud-kushī nahīñ hai
hayat-e-ulfat ki chandni mein masarraton ki kami nahin hai
magar muqaddar ko kya karun main nazar wo pahli jo thi nahin hai
wo ibtida ishq ki thi hum ko gila tha jab dard-e-be-kasi ka
magar shabab-e-junun to dekho shikayat-e-be-ruKHi nahin hai
teri mohabbat hai zahr shirin teri wafaen hasin dhoke
hai lakh dushman agarche duniya magar ye tujh se buri nahin hai
hazaron tufan se ishq khele hazar dil mein hujum-e-gham ho
magar fareb-e-wafa jo khae wo zindagi zindagi nahin hai
kamal-e-ishq-o-wafa ke partaw jahan-tahan jagmaga rahe hain
ye sab fareb-e-nigah-o-dil hai kisi mein kuchh dilkashi nahin hai
wo aur honge aish-e-duniya ki aarzuon mein mar rahe hain
wo chiz main kyon pasand kar lun jo hasil-e-bandagi nahin hai
teri wafaon ke aasare par had-e-tasawwur se baDh gaya hun
maqam aisa ab aa gaya hai teri kami bhi kami nahin
jawan hai ab meri mohabbat shabab par hain meri duaen
hai mauqa-e-KHud-kushi to ai 'raj himmat-e-KHud-kushi nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.