hayat hai mere dil ki kisi ki zinda yaad
hayāt hai mire dil kī kisī kī zinda yaad
usī se hai ye daraḳhshāñ usī se hai ābād
vafā na ho to mohabbat kā e'tibār nahīñ
jafā na ho to hai ye dilbarī bhī be-buniyād
tamām jism hai fāsid tamām jism ḳharāb
agar na jaa.e kisī aadmī ke dil kā fasād
ab ek qissa-e-māzī hai zulm-e-chañgezī
ki ho ga.e haiñ na.ī qism ke sitam ījād
mujhe batāo jagah vo jahāñ mile mujh ko
jigar kā soz nazar kā hijāb dil kī kushād
mire yaqīñ kī hai buniyād aql se mohkam
tumhāre shakk-o-taraddud kī sust hai buniyād
'urūj' fikr-e-asīrī se zehn ḳhālī kar
balā se jism hai mahbūs dil to hai āzād
hayat hai mere dil ki kisi ki zinda yaad
usi se hai ye daraKHshan usi se hai aabaad
wafa na ho to mohabbat ka e'tibar nahin
jafa na ho to hai ye dilbari bhi be-buniyaad
tamam jism hai fasid tamam jism KHarab
agar na jae kisi aadmi ke dil ka fasad
ab ek qissa-e-mazi hai zulm-e-changezi
ki ho gae hain nai qism ke sitam ijad
mujhe batao jagah wo jahan mile mujh ko
jigar ka soz nazar ka hijab dil ki kushad
mere yaqin ki hai buniyaad aql se mohkam
tumhaare shakk-o-taraddud ki sust hai buniyaad
'uruj' fikr-e-asiri se zehn KHali kar
bala se jism hai mahbus dil to hai aazad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.