hayat maut hai goya us aadmi ke liye
hayāt maut hai goyā us aadmī ke liye
jo saarī umr tarastā rahā ḳhushī ke liye
vo rind rind nahīñ pī ke jo bahak jaa.e
ki zarf kī bhī zarūrat hai mai-kashī ke liye
ġham-e-firāq meñ jaisī hamārī hālat hai
koī bhī itnā pareshāñ na ho kisī ke liye
kiyā hai dost ne aane kā va.ada aaj kī shab
charāġh dil kā jalānā hai raushnī ke liye
'munīr' ġham kā mudāvā karo na bhuul ke tum
vajūd-e-ġham bhī zarūrī hai zindagī ke liye
hayat maut hai goya us aadmi ke liye
jo sari umr tarasta raha KHushi ke liye
wo rind rind nahin pi ke jo bahak jae
ki zarf ki bhi zarurat hai mai-kashi ke liye
gham-e-firaq mein jaisi hamari haalat hai
koi bhi itna pareshan na ho kisi ke liye
kiya hai dost ne aane ka wada aaj ki shab
charagh dil ka jalana hai raushni ke liye
'munir' gham ka mudawa karo na bhul ke tum
wajud-e-gham bhi zaruri hai zindagi ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.