hayat-o-maut ke parde gira ke
hayāt-o-maut ke parde girā ke
tumheñ dekhā hai tum se bhī chhupā ke
mujhe taḌpā rahe haiñ yaad aa ke
vo lamhāt-e-hasīñ ahd-e-vafā ke
vahāñ dāman ko uljhā.e hue huuñ
guzarnā thā jahāñ dāman bachā ke
mirī ḳhuddāriyoñ kī laaj rakh lī
maiñ sadqe us dil-e-be-mudda.ā ke
tirī mahfil meñ ḳhālī haath aa.e
kisī ummīd par sab kuchh luTā ke
ḳhayāloñ meñ tire āñchal ko dekhā
sitāre jab bhī chaTke muskurā ke
ḳhabar bhī hai tujhe ai jān-e-'maikash'
fasāne ban ga.e har har adā ke
hayat-o-maut ke parde gira ke
tumhein dekha hai tum se bhi chhupa ke
mujhe taDpa rahe hain yaad aa ke
wo lamhat-e-hasin ahd-e-wafa ke
wahan daman ko uljhae hue hun
guzarna tha jahan daman bacha ke
meri KHuddariyon ki laj rakh li
main sadqe us dil-e-be-muddaa ke
teri mahfil mein KHali hath aae
kisi ummid par sab kuchh luTa ke
KHayalon mein tere aanchal ko dekha
sitare jab bhi chaTke muskura ke
KHabar bhi hai tujhe ai jaan-e-'maikash'
fasane ban gae har har ada ke
- Book : KHuli kitab (Pg. 23)
- Author : Masuud maikash muradabadi
- Publication : Adbi Miaar Publications (1981)
- Edition : 1981
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.