hayat raqs mein hai kaenat raqs mein hai
hayāt raqs meñ hai kā.enāt raqs meñ hai
charāġh-e-bāda jalāo ki raat raqs meñ hai
sitāre aa.e haiñ zarroñ kī bandagī ke liye
naved-e-sub.h mubārak hayāt raqs meñ hai
kuchh is adā se chalā qāfila gunāhoñ kā
numūd-e-sub.h se ab tak najāt raqs meñ hai
hai ek hashr sā barpā zamīñ ke siine meñ
kuchh is tarah nafas-e-hādsāt raqs meñ hai
ye kaun maut ke chehre pe mal gayā kālak
fanā kī āñkheñ haiñ nam aur sabāt raqs meñ hai
qarīb hī kahīñ pyāsoñ kā qāfila to nahīñ
machal rahe haiñ kināre furāt raqs meñ hai
ḳhudā pe jab se burā vaqt aa gayā 'qaisar'
hubal ke lab pe hai naġhma manāt raqs meñ hai
hayat raqs mein hai kaenat raqs mein hai
charagh-e-baada jalao ki raat raqs mein hai
sitare aae hain zarron ki bandagi ke liye
nawed-e-subh mubarak hayat raqs mein hai
kuchh is ada se chala qafila gunahon ka
numud-e-subh se ab tak najat raqs mein hai
hai ek hashr sa barpa zamin ke sine mein
kuchh is tarah nafas-e-hadsat raqs mein hai
ye kaun maut ke chehre pe mal gaya kalak
fana ki aankhen hain nam aur sabaat raqs mein hai
qarib hi kahin pyason ka qafila to nahin
machal rahe hain kinare furaat raqs mein hai
KHuda pe jab se bura waqt aa gaya 'qaisar'
hubal ke lab pe hai naghma manat raqs mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.