hazar bar miTi aur paemal hui hai
hazār baar miTī aur pā.emāl huī hai
hamārī zindagī tab jā ke be-misāl huī hai
isī sabab se to parchhā.īñ apne saath nahīñ hai
sa.ūbat-e-safar-e-shauq se niDhāl huī hai
sukūn phir bhī to vahshat-sarā-e-dil meñ nahīñ hai
nigāh-e-yār agarche sharīk-e-hāl huī hai
ḳhushī ke lamhe to jūñ-tūñ guzar ga.e haiñ yahāñ par
bas ek sā.at-e-ġham kāTnī muhāl huī hai
lakīr nuur kī jo āsmān-e-dil pe banī hai
añdherī raat kā hamla huā to Dhaal huī hai
hazar bar miTi aur paemal hui hai
hamari zindagi tab ja ke be-misal hui hai
isi sabab se to parchhain apne sath nahin hai
saubat-e-safar-e-shauq se niDhaal hui hai
sukun phir bhi to wahshat-sara-e-dil mein nahin hai
nigah-e-yar agarche sharik-e-haal hui hai
KHushi ke lamhe to jun-tun guzar gae hain yahan par
bas ek saat-e-gham kaTni muhaal hui hai
lakir nur ki jo aasman-e-dil pe bani hai
andheri raat ka hamla hua to Dhaal hui hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.