hazar baaten hain dil mein abhi sunane ko
hazār bāteñ haiñ dil meñ abhī sunāne ko
magar zabāñ nahīñ miltī hameñ batāne ko
vo āñkheñ aaj sitāre tarāshtī dekheñ
jinhoñ ne rañg-e-tabassum diyā zamāne ko
ham ahl-e-zarf abhī tak haiñ ek jins-e-latīf
jinheñ kuchal diyā duniyā ne āzmāne ko
hamāre phuul hamārā chaman hamārī bahār
hamīñ ko jā nahīñ miltī hai āshiyāne ko
'sahāb' itne taġhayyur navāz haiñ ham bhī
ki apne naġhmoñ ne chauñkā diyā zamāne ko
hazar baaten hain dil mein abhi sunane ko
magar zaban nahin milti hamein batane ko
wo aankhen aaj sitare tarashti dekhen
jinhon ne rang-e-tabassum diya zamane ko
hum ahl-e-zarf abhi tak hain ek jins-e-latif
jinhen kuchal diya duniya ne aazmane ko
hamare phul hamara chaman hamari bahaar
hamin ko ja nahin milti hai aashiyane ko
'sahab' itne taghayyur nawaz hain hum bhi
ki apne naghmon ne chaunka diya zamane ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.