hazar bach ke nikalte kahan Thikana tha
hazār bach ke nikalte kahāñ Thikānā thā
hameñ lahū ke samundar meñ Duub jaanā thā
tabūk aaj bhī āvāz de rahā hai hameñ
urūs-e-maut ko baḌh kar gale lagānā thā
ThiThak ke āb-e-ravāñ rāste banā detā
the shahsavār hameñ lauT ke na aanā thā
vo jis ne jast lagā.ī thī gahre paanī meñ
usī ke haath tah-e-āb kā ḳhazāna thā
farāz-e-koh se shāhīn ne uḌaan bharī
paroñ meñ āsmāñ minqār meñ zamāna thā
uḌā rahe the abhī ham adū ke par purze
khulī jo aañkh to sab ḳhvāb thā fasāna thā
hazar bach ke nikalte kahan Thikana tha
hamein lahu ke samundar mein Dub jaana tha
tabuk aaj bhi aawaz de raha hai hamein
urus-e-maut ko baDh kar gale lagana tha
ThiThak ke aab-e-rawan raste bana deta
the shahsawar hamein lauT ke na aana tha
wo jis ne jast lagai thi gahre pani mein
usi ke hath tah-e-ab ka KHazana tha
faraaz-e-koh se shahin ne uDan bhari
paron mein aasman minqar mein zamana tha
uDa rahe the abhi hum adu ke par purze
khuli jo aankh to sab KHwab tha fasana tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.