hazar gardish-e-sham-o-sahar se guzre hain
hazar gardish-e-sham-o-sahar se guzre hain
Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
MORE BYSufi Ghulam Mustafa Tabassum
hazār gardish-e-shām-o-sahar se guzre haiñ
vo qāfile jo tirī rahguzar se guzre haiñ
abhī havas ko mayassar nahīñ diloñ kā gudāz
abhī ye log maqām-e-nazar se guzre haiñ
har ek naqsh pe thā tere naqsh-e-pā kā gumāñ
qadam qadam pe tirī rahguzar se guzre haiñ
na jaane kaun sī manzil pe jā ke ruk jaa.eñ
nazar ke qāfile dīvār-o-dar se guzre haiñ
rahīl-e-shauq se larzāñ thā zindagī kā shu'ūr
na jaane kis liye ham be-ḳhabar se guzre haiñ
kuchh aur phail ga.iiñ dard kī kaThin rāheñ
ġham-e-firāq ke maare jidhar se guzre haiñ
jahāñ surūr mayassar thā jaam o mai ke baġhair
vo mai-kade bhī hamārī nazar se guzre haiñ
hazar gardish-e-sham-o-sahar se guzre hain
wo qafile jo teri rahguzar se guzre hain
abhi hawas ko mayassar nahin dilon ka gudaz
abhi ye log maqam-e-nazar se guzre hain
har ek naqsh pe tha tere naqsh-e-pa ka guman
qadam qadam pe teri rahguzar se guzre hain
na jaane kaun si manzil pe ja ke ruk jaen
nazar ke qafile diwar-o-dar se guzre hain
rahil-e-shauq se larzan tha zindagi ka shu'ur
na jaane kis liye hum be-KHabar se guzre hain
kuchh aur phail gain dard ki kaThin rahen
gham-e-firaq ke mare jidhar se guzre hain
jahan surur mayassar tha jam o mai ke baghair
wo mai-kade bhi hamari nazar se guzre hain
- Book : sau-e-baar-e-chaman mahka (Pg. 129)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.