hazar hum par sitam karenge hazar jaur-o-jafa karenge
hazar hum par sitam karenge hazar jaur-o-jafa karenge
Payam Fatehpuri
MORE BYPayam Fatehpuri
hazār ham par sitam kareñge hazār jaur-o-jafā kareñge
na ham ne tark-e-vafā kiyā hai kabhī na tark-e-vafā kareñge
nahīñ haiñ āsāñ vafā kī rāheñ qadam qadam hai na.ī qayāmat
ḳhirad kahāñ apne kaam aa.ī junūñ ko ab rahnumā kareñge
na koī dushman bujhā sake haiñ na koī āñdhī bujhā sakegī
charāġh ulfat ke is jahāñ meñ jalā kiye haiñ jalā kareñge
yahī parastish hai ab hamārī yahī hai ab bandagī hamārī
jahāñ bhī hoñ zulf-o-ruḳh ke saa.e vahīñ pe sajde kyā kareñge
hai dushmanoñ se bhī pyaar ham ko ki dostī hai shi.ār apnā
bichhā.eñge raah meñ jo kāñTe ham un ke haq meñ duā kareñge
nahīñ ye aish-o-tarab kī mahfil maqām-e-jahd-o-amal hai duniyā
unhīñ ko jiine kā haq milegā jo ziist kā haq adā kareñge
'payām' nākām haiñ to kyā hai nahīñ hai fitrat meñ nā-umīdī
karam kī ummīd par hai jiinā kabhī to mehr-o-vafā kareñge
hazar hum par sitam karenge hazar jaur-o-jafa karenge
na hum ne tark-e-wafa kiya hai kabhi na tark-e-wafa karenge
nahin hain aasan wafa ki rahen qadam qadam hai nai qayamat
KHirad kahan apne kaam aai junun ko ab rahnuma karenge
na koi dushman bujha sake hain na koi aandhi bujha sakegi
charagh ulfat ke is jahan mein jala kiye hain jala karenge
yahi parastish hai ab hamari yahi hai ab bandagi hamari
jahan bhi hon zulf-o-ruKH ke sae wahin pe sajde kya karenge
hai dushmanon se bhi pyar hum ko ki dosti hai shiar apna
bichhaenge rah mein jo kanTe hum un ke haq mein dua karenge
nahin ye aish-o-tarab ki mahfil maqam-e-jahd-o-amal hai duniya
unhin ko jine ka haq milega jo zist ka haq ada karenge
'payam' nakaam hain to kya hai nahin hai fitrat mein na-umidi
karam ki ummid par hai jina kabhi to mehr-o-wafa karenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.