hazar ilm ki zau se dimagh raushan ho
hazār ilm kī zau se dimāġh raushan ho
jo dil meñ ātish-e-pinhāñ nahīñ to kuchh bhī nahīñ
bahār meñ to hai naġhma-sarā magar bulbul
agar ḳhizāñ meñ ġhazal-ḳhvāñ nahīñ to kuchh bhī nahīñ
haiñ yuuñ to ashraf-e-maḳhlūq ham zamāne meñ
magar amal meñ jo insāñ nahīñ to kuchh bhī nahīñ
mirī navā hai pareshāñ to aib kyā is meñ
nasīm-e-bāġh pareshāñ nahīñ to kuchh bhī nahīñ
sadaf hai aañkh to aañsū hai qatra-e-naisāñ
sadaf meñ qatra-e-naisāñ nahīñ to kuchh bhī nahīñ
chaman se duur bhī ho andalīb-e-bāl-kushā
magar asīr-e-gulistāñ nahīñ to kuchh bhī nahīñ
hazar ilm ki zau se dimagh raushan ho
jo dil mein aatish-e-pinhan nahin to kuchh bhi nahin
bahaar mein to hai naghma-sara magar bulbul
agar KHizan mein ghazal-KHwan nahin to kuchh bhi nahin
hain yun to ashraf-e-maKHluq hum zamane mein
magar amal mein jo insan nahin to kuchh bhi nahin
meri nawa hai pareshan to aib kya is mein
nasim-e-bagh pareshan nahin to kuchh bhi nahin
sadaf hai aankh to aansu hai qatra-e-naisan
sadaf mein qatra-e-naisan nahin to kuchh bhi nahin
chaman se dur bhi ho andalib-e-baal-kusha
magar asir-e-gulistan nahin to kuchh bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.