hazār kufr haiñ ik chashm-e-pārsā meñ tirī
bharī huī hai sharārat adā adā meñ tirī
baqā ko apnī mashiyyat tirī samajhtā huuñ
mirī hayāt-e-qazā-kār hai razā meñ tirī
mire habīb mirī āḳhirat ke ai zāmin
mire nasīb kī jannat hai ḳhāk-e-pā meñ tirī
ye kis maqām se tū ne ḳhitāb farmāyā
sunī ga.ī mirī āvāz bhī sadā meñ tirī
ye soch kar na 'munavvar' ne kuchh kiyā shikva
vafā kī daad kā pahlū bhī hai jafā meñ tirī
hazar kufr hain ek chashm-e-parsa mein teri
bhari hui hai shararat ada ada mein teri
baqa ko apni mashiyyat teri samajhta hun
meri hayat-e-qaza-kar hai raza mein teri
mere habib meri aaKHirat ke ai zamin
mere nasib ki jannat hai KHak-e-pa mein teri
ye kis maqam se tu ne KHitab farmaya
suni gai meri aawaz bhi sada mein teri
ye soch kar na 'munawwar' ne kuchh kiya shikwa
wafa ki dad ka pahlu bhi hai jafa mein teri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.